Ho chhote ya ho bade, hote hai sab maa ko pyaare,
Bolte hain sab maa ko, naam se nyaare-nyaare..
Koi bole maa ko mummy, amma ya phir bole aayi,
Tu hai itni achhi jaise, makkhan-mishri-malaai..
Ho kisi kathinaai me, ya ho kisi ladaai me,
Deti apne bache ka saath, har mod-chaurahe me..
Yeh uska mamatva hi hai, jo rahe wo hamesha uske saath,
Lad jaaye har kisi se jahaan me, bhale na ho koi uske saath..
Apne bache ke liye wo, swadishta khaana banaati hai,
Jo bache ko aaye pasand, wahi use khilaati hai..
Khud khaaye rukhi sukhi, vyanjana use khilaati hai,
Mitti ke dher se use, insaan wahi banaati hai..
Uski gatividhiyo me wo, sakriyata bhi nibhaati hai,
Betiyo se bhi zyada wo,beto ko laad ladaati hai..
Uski har khushi mein khush, aur dukh me wo roti hai,
Use aanchal ki chaav me sula, wo khud dhoop me soti hai..
Kya kar sakte hai maa ka, ye maa esi hi hoti hai,
kya kar sakte hai maa ka, ye maa esi hi hoti hai..